Genius Romanizations
Bhuvan Bam - Heer Ranjha (Romanized)
[Verse 1]
Chal, dhoond laaye
Saari masoom si khusiyan
Chal, bhool jaye faslein darmiyan
Kisne banaya dastoor aisa
Jeena sikhaya majboor jaisa
Dil ro raha hai, dil hai pareshan
Heer aur ranjha ke ishq jaisa
Kehte hain jo panne hote nahin poore
Karte bahot kuch bayan
Mil jaunga tujhse
Phir unn kitabon mein
Ho jahan zikar tera
[Chorus]
Tu, tu main aur tu
Tu, tu, main aur tu
[Verse 2]
Kisne banaya dastoor aisa
Jeena sikhaya majboor jaisa
Aankhein meri sapna tera
Sapne subha saam hain
Tu hai sahi ya main hoon sahi
Kispe yeh ilzaam hai
Aakhein meri sapna tera
Sapne subah sham hai
Tu hai sahi ya main hu sahi
Kispe yeh ilzaam hai
Aisi lagan baandhe huye
Hu main khada ab wahan
Jis chor pe tha choota mera
Hathon se tere hat
Jisne hasaya jisne rulaya
Jeena sikhaya majboor jaisa
Jana hai jao hai kise roka
Heer aur ranjha ke ishq jaisa
[Chorus]
Tu, tu main aur tu
Tu, tu, main aur tu