Mohit Chauhan
Phir Se Ud Chala
[Intro]
Phir se ud chala
Ud ke chhoda hai jahaan neechein
Main tumhare ab hoon havaale
Ab door-door log bagh, meelon door ye waadiyan

[Verse]
Phir dhuaa-dhuaa tan har badli chali aati hai chhoone
Par koi badli kabhi kai karde tan geela ye bhi naa ho
Kissi manzar par main rukka nahin
Kabhi khud se bhi main mila nahin
Ye gilla to hai, main khafa nahin
Sheher ek se, gaon ek se, log ek se, naam ek
Phir se ud chala main

[Verse]
Mitti jaise sapne ye kitna bhi palko se jhaado
Phir aa jaate hain
Itne saare sapne kya kahoon
Kis tarah se maine tode hain, chhode hain, kyun
Mere saath chale, mujhe le ke ude, ye kyun

[Bridge]
Kabhi daal-daal, kabhi paat-paat
Mere saath-saath, phirein dar-dar ye
Kabhi sehera, kabhi saavan
Banu raavan, jiyun mar marke
Kabhi daal-daal, kabhi paat-paat
Kabhi din hai raat, kabhi din, din hai
Kya sach hai, kya maya
Hai daata, hai daata
[Pre-Chorus]
Idhar udhar, titar bitar
Kya hai pata, hawa le hi jaye teri or
Kheenche teri yaaden, teri yaaden, teri or

[Instrumental Break]

[Chorus]
Rang birange vehmon mein, main udta phirun
Rang birange vehmon mein, main udta phirun