Natasha Baig, Fareed Ayaz & Abu Muhammad Qawwal & Brothers
Shikwa Jawab E Shikwa
Kyon ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon

Kyon (mein) ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon
Naale bulbul ke sunoon
Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon
Hamnawa, main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon
Jurrat aamoz

Jurrat aamoz meri taab-e-sukhan hai mujhko
Jurrat aamoz meri taab-e-sukhan hai mujhko
Jurrat aamoz meri taab-e-sukhan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko
Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko

Hai baja, Hai baja, Hai baja, Hai baja
Hai baja, shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum
Hai baja, shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum
Qissa-e-dard sunaate hain ke majboor hain hum
Qissa-e-dard sunaate hain ke majboor hain hum
Saaz-e-Khamoosh hain, faryaad se Ma'moor hain hum
Saaz-e-Khamoosh hain, faryaad se Ma'moor hain hum
Naala aata hai agar lab pe to Ma'zuur hain hum
Ai Khuda shikwa-e
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le
Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le
Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the patther, kahin ma'bood shajar

Khugar-e-paikar mahsoos thi insaan ki nazar
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?
Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar?
Khuda! Khuda!
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Quwwat-e-Baazo-e
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!
Tau aee awaz
Kis say mukatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukatib hai kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
(Bol) Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?
Sar ko patakh kar kyun rou raha hai?
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Hum nay toh denay ka wada kia hai
Aa aa idher aa
Tu pher maang pher maang
Aa aa idher aa
Tu pher maang pher maang
Tau aee awaz

Sunn!
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne? (Kya baat hai!)
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
Aur, nou-e-insaan ko ghulami se churaya kisne?
Meray Ka’abay ko
Aur mere Ka’abay ko jabeenon se basaya kisne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kisne (tum ne)
Haan Haan
Thay toh aaba woh tumhare hi
Thay toh aaba woh tumhare hi magar tum kya ho?
Thay toh aaba woh tumhare hi magar tum kya ho?
Thay? … Thay!
Thay toh aaba woh tumhare hi magar tum kya ho?
Hath par hath dhare muntazir-e-farda ho
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai (aray) kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
Aur Sunn!
Paida
Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha
Dekh!
Haatim ke hathon se kisne dia tha
Haatim ke hathon se kisne dia tha
(Arey) Tu kya samjh kar wapis chala tha
Tu kya samjh kar wapis chala tha
(Aur) Hum nay toh denay ka wada kia tha
Hum nay toh denay ka wada kia tha
(Aur) mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Baaz Aa, Baaz Aa
Har Unch e Hasti Baaz Aa
Gar Kaafir o Kabr o But Parasti Baaz Aa
Een Dargah e Maa, Dargah e Na Umeedeeni
Sadd Baar Agar Tauba Shikasti Baaz Aa
(Aray) mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Mayoos janay ko kisne kaha tha
Aa aa (Aaa, aaa, Aaa) idher aa tu pher mang pher mang
Aa aa idher aa
Aaa
(Aray) mayoois janay ko kisne kaha tha

Le Sunn!
Aqal hai teri sipar
Aqal hai teri sipar ishq ka shamshir teri
Aqal hai teri sipar aur ishq ka shamshir teri
Mere durwaish
(Kya Baat Hai!)
Mere durwaish khilafat hai jahangir teri
Ma siwa Allah ke liye
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri
Ma siwa Allah
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Allah o Akbar!
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri

Aur Sunn!
Ki Muhammad se wafa
Sal Allah o Alaih e Wasallam
Ki Muhammad se wafa Tu ne, toh hum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne, toh hum tere hain
Ki Muhammad se wafa Tu ne, toh hum tere hain
Yeh jahan cheez hai kya louh-o-qalum tere hain

Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain
Louh-o-qalum tere hain