[Chorus: Talhah Yunus]
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
[Verse 1: Talha Anjum]
If I were you and you were me
I would forgive you jaise tu ho ek surang, main uske end main tujhko roshni dikhi (Light it up)
That's how I see you, khud ko meri nazar se dekh
If I were you and you were me (If you were me)
Main aise toot’ta ke toot’te hain taare kya
Woh aaj bhi hai muntazir (Yeah)
Mukhtasir ek mulaqaat ka, phir kabhi mil payein na
Dil doobay, manzil lagay dur bohot
Urooj se zawaal, dekhein hain noor bohot
Na tere haath mein zindagi, aur na hee maut
Mere haath mein hai qalam, qalla aur shauq
Har khauf se azaad kardo meri zaat ko
Qismaton se paak kardo mere haath ko
Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere
Jaise karma peechay parra hai haath dho
Gaane gaye bohot, dil dukh aye bohot
Na tumhein aye sharam, na humein aye maut
Mein sane hu iss minute, next minute I’m psycho
Industry kare follow, brands go where I go
Ye mera flex nahi hai life hai (Yeah, yeah)
Send my cheque, mujhe baat-cheet nahi chahiye (Yeah, yeah)
I got bills, mard ke alag hote qaiday (Word)
Agar kamaate nahi tou mard ho tum kaye ke?
Future dikhta nahi hai, future is what I say (What I say)
Woh saath khayein, kehna parhta nahi woh bhai thay (Bhai thay)
I do or die for the gang
Bina likhat-parhat ke kiye hoye hain yeh muahiday
Salgirah tab bhi kharra tha main mic pe (Yeah)
Gawah yaar, rawadaar, mere saath
Rahay sadda abaad ye awaaz (Ye awaaz)
I rap for a purpose, ye career ek cause
You expect me to be perfect and I’m just full of flaws
Kaise likhta hoon yeh verses, kya karta hoon mehsoos
Main binna taaj ka baadshah, got nothing to lose
I’m crossing lines just to cancel out the booze
Ab na dil se nikle aarzu, jab se dil se nikli aaj tu
Dil tha mera gosha-e-sukoon ek
Kyun bana gayi hai isse bazaar tu
[Chorus: Talhah Yunus]
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
[Verse 2: Talhah Yunus]
Dil mein sawaal barre, biche hoye jaal barre
Meri misaal chale, chahte saare chaal chalein
Thappar yeh gaal pe, industry poori paalte rahe
Laya kitaab jo tum khol ke sirf chaapte rahe
Talway mere chaat te rahe, paisa nahi, woh daat de rahe
Dekhe nahi halaat mere, yaaron ne jo khwaab dekhe
Poore karun aaj ab is haath main woh aag betay
Paise main woh baat nahi jo izzat meri aaj betay
Yeh imtehaan kaisa, sooraj nahi par chaand dekha
Likhari jaan-laywa, Urdu Rap ko saans deta
Kis se larrun jang, sab waaqif hain yeh maidan mera
Rap meri jaan, main Karachi ke liye jaan de raha
Yeh larke likhte, mujhe dikhte apne bars bhai
Darta nahi girne se bas dunya se naraaz bhai
Ainay ko torr dein, yoon jorrte alfaaz bhai
Lafz kaise tolte jab bhaari yeh awaaz bhai
Dil mera saaf, main industry ka woh raaz bhai
Darte mujhse aaj bhi, shaheen aata baaz nahi
Bhai full pachaas, Talha jaane khola hath nahi
Kaghaz ko main aag doon, pichwarre inke raakh bhai
Sar apna noch rahe, hum sote huye bhi soch rahe
Khwaabon mein bhi apno ke khushi ke aansu poch rahe
I ain’t a role model, aaj bhi on the road ay
Underground ko laya mainstream walay shows main
Deal hoti close uthte sath mujhe hosh nahi
Industry mere lund pe, par nahi woh meri dost nahi
Rozi roti likhi upar walay ne, afsos nahi
Darte nahi hum maut se, musaafir marte roz bhai
I ask God, "Why you made fear?"
Sab rona chahte but we hate tears
I’m never sober but I stay clear
Samajh se baahir main jaise Shakespeare
Arsay se khayi nahi roti maa ki haath ki
Taaron ko naam doon, tu dekh meri saadgi
Dushman ko bhi kaam doon, kaise hogi barabari
Log meri mehnat ka phal khana chahte aaj bhi
Ye baatein nahi kaghazi, main khud ko deta daat bhai
Sach se dunya bhaagti, aur main sirf sach ke saath bhai
Highest in the room mujh tak pohanchen ge kya khaak bhai
Har gaane ki main dhun, sirf beato'n se karta baat ay!
[Chorus: Talhah Yunus]
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main dunya ko dikhta nahi hoon
Mat pucho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon
Basar karte hain tere dil main
Asar hai tou shikwa kare kyun?
Zikar hota hai har mehfil main
Woh chahte par dikhta nahi hoon