Ke ab kuch hosh nahi hai
Tu mujhko pila degi kya
Mein pi kar jo bhi kahunga
Tu subha bhula degi kya
Tu bahon mein rakhle do pal
Phir chahe dur hata de
Mein godh mein rakh lun agar sar
Tu mujhko sula degi kya
Jaati nahi teri yaadein kasam se
Ke dil ka bharam hai tu
Baaki nahi ab koi sharam jana
Ek dharam hai tu
Jo kehti thi mat piyo na
Meri jaan zeher hai yeh
Usey dekhta hoon koi gair chhuye
Ab aur zeher kya piyu